मंगळवार, १३ डिसेंबर, २०११

EK DIN ZINDGI SE JEET JAAUNGI

Mai do pal chalti aur ek pal ko rukti magar iss ek pal ZINDGI muzse chaar kadam aage badh jaati, mai phir do pal chalti aur ek pal ko rukti magar iss ek pal ZINDGI muzse phir chaar kadam aage badh jaati.Yuhi Zindgi ko jitata dekh mai muskurati aur ZINDGI meri muskurahat per hairaan hoti......... Ye silsila yuhi chalta raha..................


            Phir ek din muze hansta dekh ek SITARE ne pucha "TUM HAAR KAR BHI MUSKURATI HO KAY THUME DUKH NAHI HOTA HAAR KA?"
Tab maine kaha "Muze pata hai ek aisi sarhad aayegi janha se aage ZINDGI chaar kadam to kay ek kadam bhi aage na bhad paayegi..........tab ZINDGI mera intezaar karegi aur mai tab bhi yuhi chalti rukti apni raftaar se apni dhun me waha pahuchungi.
            Ek pal ruk kar ZINDGI ko dekh kar MUSKURAUNGI bite safar ko ek nazar dekh apne kadam phir badhaungi.Thik ussi pal me ZINDGI se JEET jaungi......
            Mai apni haar per muskurati thi aur apni jeet per bhi.Magar "ZINDGI APNI JEET PER BHI NA MUSKURA PAAYE THI AUR APNI HAAR PER BHI NA RO PAAYEGI........................"

कोणत्याही टिप्पण्‍या नाहीत:

टिप्पणी पोस्ट करा